Manhus:’
Bada manhus hai, wo nahi aayega
Dil patthar ka hai uska, kyon na ho, seene pe patthar leke chalta hai
Prem mein pighalta nahi, jeevan mein til-til jalta hai
Tumhara humsaya nahi banega, pehle apna ghar sajaayega
Bada manhus hai, wo nahi aayega
Darsha ke aankhon ke vish ko, palat ke praan leta hai
Uske nirmal shabdon mein maano, agni ki kheti hai
Ek hi baar haara tha ab nahi pachtaayega
Bada manhus hai, wo nahi aayega
Dar-dar jaakar bhukhe ne, thokar hi thokar khaai thi
Ek samay tha ki har darwaaze pe uski aahat aayi thi
Lapat ko aisi hawa de di, ki ab saagar hi khaa jaayega
Bada manhoos hai, wo nahi aayega
Sapnon ko apne khud hi usne, raakh mein badal diya
Rahein uski rukti nahi, khud ka path khud hi chunliya
Dhokhe ki lapat mein ab, wo nahi jal paayega
Bada manhoos hai, wo nahi aayega
Andhere mein usne apne, roshni ko daba diya
Bewafai ki dhoop se, usne saaya bana liya
Ab kisi aur ki chah mein, wo nahi bhatak paayega
Bada manhoos hai, wo nahi aayega
Date
July 23, 2024